Thursday, 29 May 2014
✦..........♥ Main Bakhushi Hath Mein Angara Lene ko Tayyar Hun ♥..........✦
√ Jab main kehta hun ke main pakka Musalman hun to log kehte hain: Ye Inteha pasand hai.
√ Jab main RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki pyari Sunnaton ko apnata hun to log kehte hain: Ye Qadamat pasand hai (Qadeem rasm o riwaj ki pairwi karne wala).
√ Jab main Gunaho se bachne ka Ehtemam karta hun to log kehte hain: 100 chuhe kha kar Billi haj ko chali.
√ Jab main Taqribaat aur Mahfilon mein parde ki baat karta hun to log kehte hain: Ye Tarik Nazar hai (Nazron ke samne Andhera rakha hua hai).
√ Jab main Nizame Qur’an o Sunnat ke Jari hone ki baat karta hun to log kehte hain: Ye dahshat gardon ka sathi hai.
●◗► Main logon ki baton ki zara parwah nahi karta kyun ke Mere Samne to RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ka ye Irshad hai: “Logon par aik zamana Aisa Aayega Jis mein Apne Deen par Qayem rehne wala Hath mein Angara pakadne wale ki Tarah Takleef Mein hoga.”
[Urdu Ref :: Jami At-Tirmidhi :: Vol.2 :: Hadith 141]
[English Ref :: Jami At-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 7 :: Hadith 2260]
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment